Sunday 12 February 2012

chand ko chadni ka pata

chand ka chadni ko pata dijiye,noor ko roshni se mila dijiye.
pyaar ki aag khud hi bhakad jayegi ,aapne daman se thodi hawa daijiye!
aap kya ruh ko de sakenge sukun sirf jakhmo mai marham laga dijiye,
kitne viran sehra hai palko tale, khusk aankho pe dariya bana dijiye,
aman ke kuch parinde parwaz par,basarte aasma ko ghata dijiye!!
din ki sidhi se suraj utar bhi chuka ,chaand taro ko ab rasta dijiye,
jindgi meena aab kat jayegi chain se,kadwi baato ko dil se bhula dijiye!!



Lab pe bhule se tera naam  jo aa jata hai,harshe duniya mohabaat mai utha jata hai
Ek nazar mujh pe inayat ki bhi aab ho jaye ,tum karam karte ho hare k pe kaha jata hai!!
Tum kisi aur ki mehfil ko sajaogi kabhi,ye tassur hi mere dil ko dukha jata hai,
Ishk ke raaj jamane se chupane ke liye,jaan kar ishk mai diwana bana jata hai!!
Ek nazar unko sare bazm unko kya ekha ,bus ise baat ka afsana bana jata hai,
Bijliya apne tabusssum ki girate rahiye  ,jaan se jaye koi aap ka kya jata hai,
Tum to diwane ho aye raze ulfaat ke , hoosh walo ko bhi diwana kaha jata hai!!
poet-
raaz shadani


syeed nomaani


Lifafe  mai khat ke jaba saath hogi,
mohabaat ki wo  ek saugat hogi!!
Naye gum ka paikar tarasha hai humne
Khushi ko yaha ek aur maat hogi,
Bhari bazm mai aap se kya kahu mai ,
Mile aap tanha to phir baat hogi!!
Meri aankho mai muazzan hai samander ,
Agar kuch kahoge to barsaat hogi!!
Nibhayenge jab aap aakhiri shab ka wada,
Mere ghar usi waqt raat hogi!!
Na jaane kaha jake hoga savera,
Na jane kaha pe basar raat hogi!!
Syed aap ke na lab hilne paye,
Ki ab unki ankho se barsaat hogi!!